Kiya tum sun sakte ho
Is khamoshi mein
In cheekhon ki goonj
Hawaon ke raag mein
Andheron ka rang
Khuli ankhon mein sapne hein hazar
Lab se lapakte hue ik aur raat naagwar
In sochon ke dariya se
Behti hein nadiyan
Aur nadiyon ke pani se
Geela sa takkiya
Mera dost hai
Kiya tum sun sakte ho
Is madhoshi mein
In yaadon ki dhun
Tanhai ke saaz mein
Muhabbat ka zang
Khuli ankhon mein sapne hein hazar
Lab se tapakte hue ik aur raat naagwar
In sochon ke dariya se
Behti hein nadiyan
Aur nadiyon ke pani se
Geela sa takiya
Mera dost hai
In sochon ke dariya se
Behti hein nadiyan
Aur nadiyon ke pani se
Geela sa takiya
Mera dost hai