Is aiene mein ik doosra shakhs rehta hai
Qudrat ke in zulmon Ko hansi se wo sehta hai
Itne dard mein jaane kiyu hansta wo rehta hai
Khuda jaane kin hawaon mein wo behta hai
Mein use bolu kon hai
Mujhe dekhe mujh ko hi
Bole ye sab kehta hai
Kis ko kiya dikhaye
Konsa sabaq sikhaye
Kis husn ko bikwaye
Sab jaanta hai yeh aiena
Jo bhi mein bolu mujhe hi wapis kehta hai
Itna bol kar bhi chup chup sa kiyu rehta hai
Jaise bhi waqt guzre mere sang wo rehta hai
Mere jaisa hai shayad mere andar rehta hai
Mein use bolu kon hai
Mujhe dekhe mujh ko hi
Bole ye sab kehta hai
Kis ko kiya dikhaye
Konsa sabaq sikhaye
Kis husn ko bikwaye
Sab jaanta hai yeh aiena
Aa tera hamraaz banu
Tujh se har baat kahu
Is jel se azaad karu
Khud ko barbaad karu
Kis ko kiya dikhaye
Konsa sabaq sikhaye
Kis husn ko bikwaye
Sab jaanta hai yeh aiena