(Kisi Roj Ruswai - Kisi Roj Tanhai, Ek Umar bas unhi Maine toot - tool kar bitai)
Kisne Parkhi Baatein
Jo maine Dil se likhi
Muskil ki Ghadi
Koi Saat nhi tha Mere
Wo kaali Raat aur Tanhai
Ghut - Ghut ke Bitaai
Sab Sawal karte hein
Koi jawab dedo na
Zyada dard sehne ke
Koi Khitab de do na
Sandil ke liye Saboot the jakham
Mere bhai ke liye Baikund ka bharam
Ab jo vakta banta Tu - Teri kaad khoduga
Smarak pe karke Souch Main bhi Haath dho dunga
Mehnoor hota Piyada to aadheen na hote Syahi ke
Dene wala Data, Mujhe farak na padta paison se
Ye dagar andhon ki
Jhooti Kala bikri bhai
Mohtaz toh virasat se
Baton mein chale dikh re bhai
Umar gujar rakhi aadhe nange paun ke hi
Mujhko marne ko aaye Apne Gaon ke hi
Jaidad ke liye khudko kuchalte dekhe
Jis Maa ki khushi dekhni thi us ke Aanshu dikhe
Koi choo nhi paya Apni satah
Sirf khayal ni banata Meri tarah
Kala ne li hai Mujhmein jagah
Kala hi banegi Mere mout ki wajah
Kali raton ko likhawat subah deri
८ pahar jagne ki wajah deri
Mere mathe pe laga jese kala teeka
Maa ne leli sabhi Mujhese blaa Meri
Range kagaj nhi denge jo Mera Imaan de
Geeta se jyada Gyan Farz apna pehchante
Bhagwan se bda kon jo Mujhe pehchan de
Maa se saga kon jo Mujhe pehchante
Main Lagata rha nishana akhiri hui chook tak
Mehnat kabhi ruki nhi bharpet se bhook tak
Chappal Lakhani ke Jordan ke Shoes tak
Hathiyaar saare chalaye Maine Balle se Bandook tak
Jin pe karne ko nhi kuch sajha karte the
Ham hi jimmedaar Insaniyat ki aasha karte the
Inke malabi pyar ke liye Raat bhar jaga karte the
Bas todne ke liye hi ye Mujhse wada karte the
Jab sambhala tha bachpan tappan thi raat
Kese nikla durbhagya se herat hoti Aaj
Maine gine hein Punya
Maine gine hein Paap
Main jiunga gano mein apne hokar bhi rakh
Toh bhulna nhi Meri dariyadilli
Upkaar ki kalam se Meri Kala bandhi
Bina bojh ke seekha Main chalna nhi
Mera khud ka karam Mera Kalma nhi
Nhi honsh mein the
Kismat koste the
Dukh bhari gareebi ke mare Khudko nochte ke the
Mehnat ki Surai mein Kankad Maine Roj bhare
Bujdil-dil ke liye himmat chorte the
Be wajah nhi hue jo hue hadse
Meri Karni ne dene the inko matlab ke waste
Nikle naik liwaj mein andar bikhre Kanch the
Ab PARAKH Main bhi leta aur yeh dekhe hatash Mujhe
(Kisi Roj Ruswai - Kisi Roj Tanhai, Ek Umar bas unhi Maine toot - tool kar bitai)