Dastaan se karwaan ya naam jud raha hai
Karwein mein shaksh ab wo aam jud raha hai
Har sawaal mein naya jawaab jud raha hai
Jud raha wo shaam par na jaam jud raha hai
Maal jud raha hai
Pyaar jud raha hai
Ilm jud raha hai
Mayaar jud raha hai
Betahasha wo abki baar jud raha hai
Zurm band abki gunaahgaar jud raha hai
Saaz se mere sansaar jud raha hai!
Aaine se shaksh sharmsaar jud raha hai
Gumnaam kal ka aaj ban misaal jud raha hai
Buth paraston ka aala haal jud raha hai
Gunahon se ab na tang haal jud rah hai
Sawabon mein wo abki malamaal jud raha hai
Dastaan se karwan ya naam jud raha hai
Karwein mein shaksh ab wo aam jud raha hai
Shatranj to wahi hai par aaj chaalein Kuch nai hai
Hai takht bhi par na jalaal or koi hai
Main kal bhi tha hu aaj bhi
Rahunga kal ke Baad bhi
Likhunga saari raat aur sunegi kaaynaat bhi
Labon se saaz saath
Saath saath abki baar bhi
Hu aaj bhi wahi
Wahi rahunga agli baar bhi
Hai paas yaar mera yaar
Mere pass maal bhi
Libaas se jalaal or mijaz se bawal bhi
Kundiyon ko kholo kholkar khud hi andhera
Roshni se mauj bharne aa gaya sawera
Pichli baar tha kaafi khaas or sunahra
Abki baar bhi wahi mayaar hai bikhera
Chaar saal se chaar baat kahna chaah raha tha
Chaar baat kahne ki hasrat thi sirf chaar ko
Chaar baat ab bhi kah raha hu sirf chaar ko
Par sunai de rahi hai abki ye hazaar ko
Sunke log sochte hai kyu tha or kya tha
Par asal mein kya kaha un chaar ko pata tha
Baaki kafila jo ab bhi baaqi bacha tha
Soch wala parda hi uski asal wajah tha
Tha dagmagata path pe ab na pag hai dagmate
Jaan rakh hatheli par rahon mein chalte jate
Kuch fareb karke dhak ke hisse hai jatate
Kuch na rok khudko khudke kisse hai banate
Rukh rahe badalte kufr unse dekhe jate
Or badalte nagmein dekh fir ye muskuraate
Kalam kala kitab kaha gulaam ghar gila bana
Parasti but ki budh guru zameen jahannam bana
Tareen sikandar kaha haseen mukaddar bhi na
Zaleel nigahon mein taarruf na rooh se kar saka
Chaar saal se chaar baat kahna chaah raha tha
Chaar baat kahne ki hasrat thi sirf chaar ko
Baatein saari haq hai zor dena or zor se
Chhodna na kuch bhi chhod chhor pahle chhor se
Aankhein laal meri dekhna inmein gaur se
Sab dikha raha hu main tumhe chaaron oor se
Matlab ka mastak mein maksad hai
Matlab se matlab ki had tak hai
Matlab se matlab jo nikle to
Matlab hi matlab mein dastak hai
Haqq hai