Insaaniyat dikhti nahi, dikhti nahi
Insaaniyat dikhti nahi, dikhti nahi
Andhere me baitha ujale ka intezaar tha
Ujaala dhundh raha par andhere se pyaar tha
Manzil hai duur banana khudka rasta
Sunata reet mai zindagi ki daastan
Likhta geet mai likhari hai Pehechan kya
Sangeet ek zariya insaano ko avaam mera
Muje jaan tu abb tak hai anjaan thaira
Shaitani roop mera karmose insaan thaira
Naajane aanjane me kitne maine paap kiye
Insaani janam mera karmosey maine saaf kiye
Matlabi dosti naa matalb ka pyaar chahiye
Insaniyat samajh sake aisa ek insaan chaiye
Insaani bhesh me insaan hi shaitan
Yaha dhunde pe logo ko bhagwan chaiye
Insaani bhid me insan banke gum tha mai
Khudke hi sapno me khudko hi dhundta mai
Jub jhele hatse tab mila apne aap se mai
Waata dusre ko apne hi saanpse the
Hausle buland kar aanjane raste
Manzil hai samne hi bas thode fasle
Hawa ka ruhk mai pakad sake to haath de
Aankhe mund aur geheri si tu saans le
Jaan bhi hazir jab mere apne sath hai
Naa sirf lafaz hai ye mere jasbaate
Sapne aankhomein the nami hai alfaz mai
Khushiyon ke behte aasu dard hai muskaan mai kya
Dard hai muskaan mai
Dard hai muskaan mai
Kya batau kitni kaati kaali raate
Kya batau kitni geheri kar raha baat mai
Aankhe mund apne antarmann ka sath de
Aawaz sun tu dil ki aur kaam kar dimaag se kya
Kaam kar dimaag se
Kaam kar dimaag se
Manzil hai maut, Ek Safar hai ye zindagi
Insaan hai bahot, insaaniyat dikhti nahi