Tera didaar hua hai
Mera istemaal hua hai
Teri khamoshi banke kaatien kanoon mei chubti hai kyu
Na jaane kya hua hai
Tera asar hua hai
Na chah ke bhi ye dil tujhe chahta hadd se zyada hai kyu
Kab tak ye dil akhir khamoshi sehta jayega
Iss tarah toh na kuch hasil na kuch mil payega
Teen lufz kahe the tujhse
Ek lufz toh tu bhi keh de
Teri iss meherbani se dil mera jee payega
Pyaar karte kalam se wo
Pyaar karte mujhse nai
Mile jab aakhri baar dikhre the wo khush nahi
Koi nai aana chahta aas paas mere
Koi hai yaha jo chalna chahta saath saath mere
Na
Koi umeed duniya se thi lagayi hui
Tu hi umeed tujhse meri tabahi hui
Na kiya aajtak wo cheez kar betha
Tujhe dil diya mene
Tune dil todd diya
Tune haan bhi na kaha par esa lage hua dhoka
Insaaniyat se guftagu karne ka khoya mauka
Aaj phir khada hu dekh akele wahi bheed mei
Jism toh chua nahi tu rooh gaya cheer ke...
Jab dekha pehli baar mere dil ka ye tha karaar jee kara bahon mei bharke tujhe pyaar karu beshumaar
Pyaar ke badl-e-daga
Dhoka badl-e- wafa
Tune ye kyu kiya meri jaan meri raza
Kyunnnnn
Bhula nahi sakta ye dil tujhe
Kyunnnn
Maaf nahi karta ye dil tujhee