Kaale saare lafz humaare - haan re haan re
Phir bhi kitne rangee saare - haan re haan re
Kisi ka chumma, kisi ke kapde - haan re haan re
Kahin pe fixing, kahin pe lafde - haan re haan re
Aaj ki taaza fikar yahi hai - haan re haan re
Aaj ki taaza fikar yahi hai....
Itne saare sach hain inmein kaunsa jee loon?
Chaand se jo paani laaye kya usko pee loon?
Aaj ki taaza fikar yahi hai, sun le saadho
Aaj ki taaza fikar yahi hai, dohara maadho
Sach hi to kehte hai humse wo sabhi
Kyun rahoon main bekhabar
Ab tak kuch na tha, mujhkho ye pata
Kis kis ka hai mujhko dar
Saath kiska hai? haath kiska hai? kisko hai meri fikar?
Sannate se cheerti huyi sann-sani
Kehti hai ki chain se sona hai toh, jaag jaao
Daro aur maro, socho, sir nocho, dimaag kharocho
Baba tantrik aur bhoot, satta ke patte, netaon ki bhook
Sab sadenga, sab ka sach se paala padenga
Kahaan aarambh hai, kahan gatya hai
Itna bhi mat socho, jo mein kehta hoon, bas wahi satya hai
Hey-e-e-e-e-e-e-e-e-ey
Hey-e-e-e-e-e-e-e-e-ey
Aaj ki taaza fikar yahi hai, sun le saadho
Aaj ki taaza fikar yahi hai, dohara maadho
Kya hai sach, aur kya galat? daon lagaaoon kis ghode par
Sabse tez par teesre page par kahaan ghusaaoon mein apna sir?
Haasil sab kar loon yaa aag pakad loon aur
Pal bhar ki ban jaaoon main khabar
Teri taaza fikar yahi hai