Accha batao, samandar aur paani ekdusre se juda hai
Samandar aur paani juda kaha
Khaara jara par isse pyara kahaa
Samandar ke duniya me pani hai faila
Bandhe use koi aisa kinara kaha
Koi us pyar ki gehrai naapo,chhalakne ki dekho adaa
Har roj ruthna pani ka aur samandar ka apni or khichna
Gehra pani kaha chhupaye , aasman ki nazar se kaise bachaye
Wo tane pahad yu sina , laanchan lagaye wo dariya gehra pani kaha chhupaye
Fir bhi wo samandar use apnaye raat me lehero se batiyaye
Apne hi wajuud ko gungunaaye
Aisa beshart pyar kaha paaye