Kahan se likhna mein shuru karoun?
Ke har taraf hi barbaadi ha kese ab mein chup rahoun?
As an artist mera tumse ye sawaal ha
Ke pakistan ko mein represent karoun ya diss karoun?
Ab to masjidon ke andaar bas faqeer dekhen
Izzat dene se pehle banda kitna ameer dekhen
Hakumat ka mutaalba har baap se ke
Ya apni aulaad bechen ya apna zameer bechen
Cause iske siwa apka jeena to nahin ha possible
Mere london mein ha flats mujhe aapki kya fikar?
Aap jiyen, ya maren, ya qatal kisi ka karen
Jitne paise aapko milen, aadhay thaane mein aap bharren
And I'm damn sure kuch dinon tum phiroge free bro
But make sure tum jisko maaro wo banda ghareeb ho
Phir chand tum bhi andaar reh kar baat daba do
Nai agar baat bani, paise phenko laash chupaa do
Par tum nai waqif ho khuda ki un adalaton se
Us din kese bachoge tum un sab ki waqalaton se?
Saari ungliyan jab houngi kisi DIG pe
DGP pe ya political VIP pe
Us din kya karoge?
Khuda ke saamne khuda jhoota gawah karoge?
Ya bahana be tuqaa karoge?
Phir tum bhi maafi ki badi hi iltijaa karoge?
Mein khuda ki qasam kha ke keh raha houn
Tujhe ayega ye waqt yaad
Tere rooh baa rooh houngi wo saari shakhsiyaat
Tu unki nazron mein dekhega apne ikhlaaq
Or kese tune kiya tha misuse apna takht yaad karega
But let it go
Baaten or bhi bohut si hain mere dil mein kehne ko
But is'se pehle kuch kahoun
You guys should just know ke mein aaj bhi houn wo
So for the record
Aaj bhi hain mere idol wohi Young Stunners
But kahan ha wo naya Pakistan,
Purpose rap dear Zainab wale stunners? tu bata
Kya aaj bhi ha jokhay gawah?
Ke fame didn't change Mr. Talha?
Us Talha ko jo dikhta tha, Talha wohi likhta tha
Par ab to sirf gaadiyon hain hooter hain na Talha?
It's not a diss but you can call it open letter
Tumhari ego hurt na ho jaaye with just the header
Samajhdaar ko ishara hi kaafi hota ha
Ke tum ab kya ban gaye ho? You were way better back then
Or ye ab ladke naaye jo rap karen
They think the rap is all about the weed
And the guns, and the worst of all the deeds you've done
But in reality, to me?, hiphop became a hoax
And I'm gonna be now honest with you folks
Ke mein roz khud ko likhta tha ek note
Ke don't lose your hope boy
Jo bhi dil mein tere aa raha ha likhde beta chor
Jo milegi hate to karlenge na cope boy
So now there you go
Jo bhi dil ki meri baaten hain wo sunte raho
Ye nai competition koi
So I don't give a damn jo bhi sides tumne chun'ni hain wo chunte raho
Or wo chen-k laake beech mein Islam ko
Naik banke dikha raha ha bewajah awaam ko
Chen bola ke ya rap ya Quran rehta ha dil mein
To kya chor chuka ha tu bata khuda ke qalam ko?
Tujhe masla kiun ha rapping se ghar agar koi chala raha ha?
Tera shayad chalta nahin ha tabhi tu chilaara ha
Kya tere lyrics mein nahin khuda se na farmani?
(Quran - 49:11) jaake parhle khud tu jani
Khair, ek baat chen ki bhi ha theek ke nazare hiphop ke ajeeb bade ho gaye hain
Jese wo taimour baig kare agar scam kisi artist ko to fans uske dekhte hi so gaye hain
Or mein jaanta houn iski bhi maghroor nature
Isko lagega ke mein bhi is'se jalta houn
But mein meri nazar mein houn tujhse bohut behtar
Kisi ka haq kha ke to kam az kam nai palta houn
Tune kabhi hustle ki hi nai
Poori azal mein nahin thi teri struggle koi
Toh tune fake likhna shuru kardi hustle Apni
Ke tere rapper hone pe na kare chuckle koi
Hustle ha agar maine dekhi to Aleem(rk) mein
Wo probably ab best artist ha lagta mujhe scene mein
Usne element nahin kiya apna lose, despite having all that fame
And those views
I guess that's how an artist should be
Artist ki hustle mujhse pucho nahin kabhi rukti
Wo chahe apni mushkilen mitaa chuka ho saari
Apne desh ki mushkilon pe likhna hota ha jaari meri Jaan