Kya keh rahe ho door se
Tum door door hoke
Khuch sunn paaye kaha?
Lagti hai door dooriyan
Kheeche je dorr tooteyan
Hum aaj bhi hai wahan
Jaa rakh le, jo aa gaya hisse tere
Toot ke, Toot ke
Bheege aap bheege hum, kis baat ki sharam
Kis baat se khafa, kis baat ka bharam
Nahi faasle khatam, tere paas hai sitam
Mere paas hai sanam ke lifafe qaid
Aaj bhi sanam ke jafaa me kaif
Har baar sharab har baar nasha ab de de wajah bas ek
Bas dekh, dooba aashiqui me bas dekh
Dooba aaj bhi mai sab kagazi ulfat ye wafa bas naam ki hai raaton me sharab bas kaam ki hai
Aur saadgii se tode dil, or aaj bhi na chore dil
Teri ek saans bhar se, dhoond loon bewafayi teri
Teri ek muskaan pe, de du jhoothi gawahi
Haazir hu mai har jagah tere liye, tu nahi kyu nahi?
Toote dil fir zakhm-e-ilaaz kya?
Jhoothe ishq jhoothe waadon ka hisaab na
Khaarij do lafzon me kiya raabta, haazir aaj bhi harr jagah me khamakha
Tera baatil hai dil mera paakiiza, tu shaamil hai shaam me kahan tha
Ke tu gairo ke kamro me khoya hua or main daryaa-e-ulfat me dooba tha
Raaton me soya nai raatein adhoori thi, kaabu na dil pe aur seene me tu bhi nai
Cheene the khushi or deta hai gam, mene sukoon se dekha tha dard
Dikhe na khoon par lage hai zakhm, marham hai wafa or wafa se doori hai teri gazab
Bheege aap bheege hum, kis baat ki sharam
Kis baat se khafa, kis baat ka bharam
Nahi faasle khatam, tere paas hai sitam
Mere paas hai sanam ke lifafe qaid
Aaj bhi sanam ke jafaa me kaif
Har baar sharab har baar nasha ab de de wajah bas ek