Ziindagi ne aaj tak mujhe kuch nhi diya jo bhi manga maine bas ek mazaak hi diya tha
Roya baith ke andhero mein puch kaale gheron se aankhon ke jo neeche fir saaf kiya tha
Insaaf kiya tha mujhse jalne wale bole kismat ne shi tujhe raakh kiya tha
Dukh diya aatma ko apne swarth ke liye kasam se na unhe kabhi maaf kiya tha
Lage fasa iss zindagi mein jeene ke liye koi vejah na mile main dhundu har bar
Nhi chaihiye mujhe pyaar aisa dil pe jo laaye barsaaye gam ke fir badal behisab
Maine maani nhi haar todi har ek diwaar jo mere raste mein aayi fir bhi raste aaj band hai...
Tadpe rooh bechain si sath na de koi yeh dimag hai lachaar dil khud me magan hai
Sapno ke peeche bhaga toh na sapne mile na hi apne rahe khafa ho gye
Gunjaish khatm ho chuki pyar ki do dilon mein bacha baaki ka toh bas malaal aur gile
Aise chale silsile ke khote banke reh gye bazaar ke woh sikke the jo sabse khare
Nhi zindagi woh bhoola jaha se akela aaya sath nhi diya beshak se sab sath mein khade
Panne bhare hi pade meri baatoin ke teri yaadon ke sath mein jo rishte hai bane
Gahre yeh itne ki mapne ko gahrayi inki machli ko bhi khud isme doobna pade
Mujhe dhundna pde har baar nya shabad kyuki puraane wale sab dagabaz ho gye
Dafan raaz ho gye inn roti hui aankho mein sapne the jinke barbad ho gye
Kamiyan hai mujhme main mukarta nhi hoon jaisa hoon main thik hoon main sudharta nhi hoon
Mai chalta whi hoon jha raston pe kaante angaaro se dosti main pighalta nhi hoon
Jalta nhi hoon kisi ki kamyaabi se dekh ke unhe mai bigadta nhi hoon
Jha pyaar se na maane koi baat mere yaar nhi bandhe mere hath main kadkata whi hoon
Marta tujhi pe baat jaane tu bhi fir bhi na maane kyu dekh ab main ladta nhi hoon
Par veham hi toh hai ki mai samjhta nhi hoon dard kitne bhi mile ab mai darta nhi hoon
Panne bharta tabhi hoon haan main marta tabhi hoon jab kholu raaz jo mere dil mein dafan hai
Wha sabke karam ka hota hai hisaab tabhi faisle ke baad mile agla janam hai
Bas itna ghamand hai kaam kiya na galat maine wafa meri jitni bhi saari kalam hai
Nasha hai iska hi likhta jo dikhta bete mere saare dard ka yhi malham hai