Jabse mujhe yaad hai mere sapne mere kaal hain
Dekhta hu unko jaise shani se mila raha hu aankh main
Nazar thi nishane par ab hoti ja rahi hai dhundhli
Jaise kohre ne kiya ho kabza meri kundli par
Naag sa khada dasne mujhe har us raaste par
Jispe chalna chaahu main bhoolkar
Kya hua hai zindagi bhar kya bana mera hausla
Kya bana hai mera darr kyu main aashiq maut ka
Kya rakha is khoon mein jiski keemat bas hai bharna bill
Kya rakha is pyaar mein jiski izzat rakhna hai mushkil
Fer bhi kyu main jhukta hu cheekhta hai mera dil
Kyu ye sab main sehta hu gar rodu to hu main buzdil
Khona nahi chahta par hokar bhi sath main door hu
Kehne ko hu kalakaar mujhse poocho main majboor hu
Ye awaazein mujhe jaanti hain mujhe pehchaanti hai
Maksad mera inka mukaam ye mere sone par hi jaagti hain
Cheekhti hain kaano mein mere mere sapno ki ye aandhi hain
Meri pehchaan bhi hain
Ye sapne mere yaar hain
Yehi sapne mere humsafar ye mere hathiyaar hain
Mere maksad ke ghulaam hain par bagaawat inka inqalaab hai
Meri haisiyat mein qaid ye udne ko tayyaar hain
Jab bhi sota hu ye aate hain kabhi marta hu kabhi maarta hu
Neend mein bhi jaagta hu apni aadato se bhaagta hu
Mushkil to bas ye hai ki chaahkar bhi nahi bhoolta main
Bhatakta hu andhero mein lekin raasta nahi dhoondhta main
Ye andhere hi to saath hain roshni naraaz hai
Ugte suraj ko salaam karne waale hi aabaad hain
Jhooth hi sach hai aajka sach to bas ghulaam hai
Pyaar nahi aaj phoolo mein paisa hi gulaab hai
Maza bas sharaab hai shabaab ka hi raaj hai
Kehne ko badla hai waqt par mera kal hi mera aaj hai
Ameero ke hi thaath hain naam se zyada jaat hai
Kiye dhare ko side karo kaam se zyada baat hai
Main wo nahi jo chaahta hu main hu tumhara aaina
Todoge to badhunga tootkar bhi ladunga
Maksad ab badal gaya hai hasratein ab kho chuki
Rakshak ab badal raha hai bhakshak hona hi sahi
Ye awaazein mujhe jaanti hain mujhe pehchaanti hai
Maksad mera inka mukaam ye mere sone par hi jaagti hain
Cheekhti hain kaano mein mere mere sapno ki ye aandhi hain
Meri pehchaan bhi hain
Ye sapne mere yaar hain
Yehi sapne mere humsafar ye mere hathiyaar hain
Mere maksad ke ghulaam hain par bagaawat inka inqalaab hai
Meri haisiyat mein qaid ye udne ko tayyaar hain
Rab ke aake jhukta baitha ghutno par main nam hai nazrein
Aansuo ko peekar apne khodi maine khudki kabrein
Chaaro taraf mere taane kya dil mein mere na koi jaane
Anjaane bane apne mere jaise mujhko sirf wohi pehchaane
Meri soch hi meri dushman hai khada rehta hu main khudke khilaaf
Chadha rehta hu main khudke sir pr ada rehta hu main karte sawaal
Bana rehta hu main gunda unke liye jinhe karta pyaar main
Hu main kharaab kyunki pehnu naqaab kam karta hu izhaar main
Dikhave ki ye duniya dikhava hi hai duniyadaari
Dikhava karna hai izzat dena zillat ki ye maramaari
Haan ji haan hai samajhdaari na karo to atyaachaari
Apno ke sath bhi rehna aise jaise hum hain bas vyaapaari