Maine jo bhi socha mujhe karna hai badhna hai
Zindagi mein mujhe kuch banna hai kyunki jab leni hogi aakhri saans
Thamegi jab dhadkanein mujhe thodi izzat se marna hai
Apno ne thooka mere mu pe kai baar
Yahi apne mere hain mere sabse paraaye
Kyu main hone laga khafa kisi or se jab ye or hi hain jo maine apne banaye
Maine kiya jo main chahta tha likha jo main chahta tha
Sabki suni fer kiya jo wo chaahte the likha jo wo chaahte the
Diya jo wo maangte the jana faayeda nahi ye sab unke bahaane the
Par main ruka nahi kabhi likhne se wo jo mere dil mein daba hai kisi kitaab sa
Har panne mein jiske seekh meri jo mili mujhe jaise koi hisaab sa
Chup hona mera nahi buzdili main chup tha jab koi lihaaj tha
Jab bolunga main to jalega sara jahaan har shabd mera hoga tezaab sa
Ab darr nahi kisika kyunki maine utaare kai bhoot
Jaise jhooth bhaage door sachchaai se
Rote rote jaaye sare meri life se jaise dulhan koi vidaai pe
Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main darta nahi Bhagwaan se
Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main karta dua Shaitaan se
Sab jo mujhe jaante hain maante nahi ki main bhakt nahi Shaitaan ka
Mujhe padi nahi unhe samjhane ki kyu main ghulaam nahi Bhagwaan ka
Bhagwaan ko main agar lagunga galat to mera karega hisaab wo khudse hi
Use zaroorat nahi tum bhakto ki jinki pooja bas ek zaroorat hi
Shaitaan se darte kehte tum vishwaas humara Bhagwaan mein
Jab hai vishwaas Bhagwaan mein to fer darte kyu Shaitaan se
Maine kabhi mana nahi kismat ko mana maine khudke karam mere witness ho
Vishwaas mera meri taaqat ho naki mera yahi vishwaas meri weakness ho
Mere liye luck jaisi koi cheez nahi ya ye cheez jo hai mere paas nahi
Mere sath hai bas meri Aashiqui jo abhi nibhaane ki meri aukaat nahi
Sochta hu kai bar rukne ki main thamne ka dil mera karta hai
Kosta hu kabhi kabhi khudko main marne ka dil mera karta hai
Rokta hu khudko jalne se isi aag mein jo aag maine khud hi lagaayi
Lapto ke beech main leta hu saans har saans mein mujhe deti arthi dikhaayi
Meri soch samajh ke paar tumhari, soch tumhari ghulaam hai
Suno dhyaan se kaha hai viraam kaha liya maine alp viraam hai
Meri baato ke peeche hai prashna chinh inka uttar ek taale ki chaabhi hai
Kholegi dimaag tum sabka ye meri shabdaavli vidyut gaami hai
Sthaan tera mitti mein khana tu dhoke khata hai bachne bimaari se
Jeev khud hi aisa anu jiske bane dharti ke kaal kare taandav kisi madari se
Leta hai gehri saans kholne teesri aankh
Pehchaan tu pehle khudko sheeshe mein
Maan tujhi mein kya kami chorh rakhna jhooth tu seene mein
Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main darta nahi Bhagwaan se
Sab jo mujhe jaante hain maante hain ye ki main karta dua Shaitaan se
Sab jo mujhe jaante hain maante nahi ki main bhakt nahi Shaitaan ka
Mujhe padi nahi unhe samjhane ki kyu main ghulaam nahi Bhagwaan ka
Bhagwaan ko main agar lagunga galat to mera karega hisaab wo khudse hi
Use zaroorat nahi tum bhakto ki jinki pooja bas ek zaroorat hi
Shaitaan se darte kehte tum vishwaas humara Bhagwaan mein
Jab hai vishwaas Bhagwaan mein to fer darte kyu Shaitaan se
Koi issue ni mujhe bhagwaan se na shaitaan mein dam mujhe dharne ka
Zara poocho jaake har insaan se aakhir kisme hai dam mere gham ko harne ka
Mujhe fark nahi ye koi tark nahi har sadak le jati swarg nahi
Kuch darj nahi ya koi marz nahi meri tadap ke aage nark nahi
Koi karz nahi par mujhe harz nahi mera farz nahi karna ghulaami
Hu paagal ya hu zakhmi meri dhadkan jaise tsunami
Aakhir kyu mera maan na zaroori hai har baat ko
Jo tujhe lage theek teri soch se kyunki jaanta hu main jo teri khoj hai
Wo bani baithi hai mujhpr bojh si jaise mera rakhwala hi mujhse krodh mein
Dene aaya ho dard na ki bharne ghaav mere jo hai saath mere
Jaise saansein meri soche chorho ise ab bas bahut hua
Jo jhukta nahi wo sanak chuka shaitaan ke roop mein janam chuka
Hasti mitegi pachtaayega koi dega na sath mit jaayega
Apmaan ka roop Agyaan ka saathi
Abhimaan Guroor or Eershya ka paathi
Todta niyam Kosta kaafi Soche nahi bas Krodh ka aadi
Maangta shodh karne ko bodh ki aakhir hai Bhagwaan ya bas hai afwaah hi