Ilahi teri choukhat per bhikari ban ke aya hoon
Ke aya hoon
Ilahi teri choukhat per bhikari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Ilahi teri choukhat per bhikari ban ke aya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai
Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker
Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker
Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein
Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda
Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki
Khulasa yeh ke bus jull bhun ke apni roo-sayahi sey
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon haali
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali
Yeh Tera ghar hai Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola
Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
Zuban ghar ke nadamat dil ki na'kas tarjumani per
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi data
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon