Lagne lagi shaam yeh tanhaa si
Khali khali sa yeh kamra bhi
Jo the pehle saath ab koi saath nai
Galti nai thi meri par koi baat nai
Dil kyun yeh khayaal apna rakhta nai
Dil kyun yeh savaal itne karta nai
Dil yeh mera tootne se kyun darta nai
Dil yeh mera farak kyun samajhta nai
Lamhe achhe pal mein kyun guzar jaate
Bebas ho ke hum bhi kuchh ni kar paate
Kya hi reh gaye hain rishte aur naate
Khaane ko hain padte log har baat pe
Apna bol ke gale lagte kal the jo
Bulaane pe bhi aate nai aen gamm mein woh
Jo bhi main hu karta mujhe karne do
Tum lelo zyada mujhe kam de do
Zindgi yeh jaan boojhke tadpaati
Kaash ghar walon se tu lad paati
Jana kahan aur kismat kahan pe leh jaati
Neend saali thak kar bhi nai aati
Chalna padta sab jagah ae sambhal ke
Nikalna kyun padta roz ae kambal se
Nikalte log aen sirf apna matlab kyun
Jo chaahte the woh ban na paaye hum sab kyun