Quarantine me baitha baitha soch raha tha ki
Karloon kuch productive
Likhne baitha khayal nhi aarhe hogya bheja pade
Pade hi inactive
Waise likhne ke maamle me mai thoda sa aalsi
Par jab likhne baithun udhed dun baal ki khaal bhi
Kam padne lag gaye ab to aspataal bhi
Prakruti ko chedo hoga aisa haal hi
Saari duniya ne maara ho jaise mass bunk
Khelrhe gharpe baith ke carom ludo ashta chang
Alag alag dish banane mummy ko karrhe tang
Aur ye patthar maarne waale karrhe shaanti bhang
Humein sang sang hoke ladna hoga
Humein ghar me band hoke ladna hoga
Humein lockdown follow karna hoga
Nahi to band nahi logon ka marna hoga
Humein badhna hoga par ruk ke thoda
Haalaton ke aage jhuk ke thoda
Jo dilli se bhaag ke chup ke baitha hai wo
Ek ek aadmi bhen ka
Doctors pharmacists aur nurses
Police aur saare frontline workers
Sab logon ka shukriya
Jo khade hai humare aage dhaal bankar
Aur jo inko sataae unhe thok do
Saale tumlog dharti pe bojh ho
Sarkaar se kehena mai chaahta hun
Inko pakadte hi sidha headshot do