Dhundli aandhiyon mein, chupa sa ikk chehra
Dil ki khwahishon pe, zamaane ka pehra
Har qadam hai ajnabee, har Raasta Anjaana
Ye kaisi hai maya, kisi ne naa jaana...
In andheron se aaagey chalein, Thodha tum chalo, thodha hum chalein
Ye roshni ki law le dil mein, thodha tum chalo, thodha hum chalein....
Har bharam ki hai taqat aur hai har haqeeqat ki kamzori
Soch ki bhool bhulayiya hai, aur jhoot ki hai seena zori
Is raat ki chuppi main, tere mann ki cheekhein hain
Is bheed mein jo mujhko, teri aur kheeche hai...
In andheron se aagey chalo, thodha tum chalo, thodha hum chalein
Ye roshni ki lau le dil Mein, thodha tum chalo, thodha hum chalein....
Teri ankhon Ka khauf ye, Meri rooh ki mushkil hai
Khudd se pooch ke kya mujh tak, tere dil ki manzil hai
Rakh honsla, tu mujh par, mera haath tu thaam le
Main saath hoon tere har pal itna tu jaan le...