Nikal pade hain ghar se apne
Aas pas ki fiqar nahi hai
Wohi rahi aur wohi rahguzar
Rozana ka yehi hai kaam
Subh o shaam, yehi hai kaam
Yehi hai kaam, subh o shaam
Manzil ka to patta nahi hai
Koi bhi rehnuma nahi hai
Shaitanon ne pareshan kiya hai
Mujh ko to badnaam kiya hai
Subh o shaam, main badnaam
Main badnaam, subh o sham
Sathi saare chhoot gaye hain
Wade saare toot gaye hain
Apne hum se rooth gaye hain
Ho gaye hain anjan
Subh o shaam, hoon gumnaam
Hoon gumnaam, subh o sham
Kaali surang se guzar rahe hain
Kaam ke pal youn nikal rahe hain
Qadam hamare bhatak na jayein
Raste hain sunsan
Subh o sham, tujhe salam
Tujhe Salam, subh o sham