Toota mera dil is mein tera kya qasoor hai
Tujh ko to apni jawani ka gharoor hai
Kehti hai mujh se anaien meri laut chal
Kya karoon anaon ka jo dil majboor hai
Tera kya qasoor hai
Sabhi raaste tere waste khule rakh diye dil ke mein ne
Tujhe kya patta dil hua lapatta ao ge abh kidhar mujhse milne
Dhoond na sako jab mujhe kahin khudi main batta doon tum ko
Jahan jao ge mujhe pao ge bacha pao ge khud ko kaise
Tu he mera dil mere dil ka saroor hai
Tu he meri aankhein meri akhion ka noor hai
Mere har khayalon ki tum he to parchhaen ho
Milen ge jo tum se to kehna zaroor hai
Tera kya qasoor hai
Dil mera tor ke moun mor ke deewana bana ke mujhe chhor ke
Labon ko soker ke dil ko udher ke armanon ke saaz chher ke
Tere naks main tere aks mein jhommta hai dil mera jaise raqs mein
Oh mere sanam mujhe teri qasam rahoon gi mein tere hamqadam
Yehi hai rasam yeh yahan ka dastoor hai
Pyar ka junoon to bara he nasoor hai
Zakhamo ko apne mein geet banoun gi
Jo bhi ho sanam par dil masroor hai
Tera kya qasoor hai