Begunaho ko mara, ye saare aatankwadi he
Aawaz dabake dilate ye aaazadi he
Barbaadi ki aur hum badhte hi jaa rahe
Kala aur kalakar ko anpadh padha rahe
Daba rahe bojh ke niche aakhe miche jaise
Khiche koi Nahe soi ruh bhi he roi he Zingadi khoi
Inhone jazbaat se khela he jhela he
Dukh he saha vo chup bhi raha he
Khuda he har jagah to fir vo aaj kaha he?
Jahah ye he uska jaha kuch nahi bacha Lekhak ko kalam uthane pe bhi he saza
Koi afsar koi vakil yaha
Masumo ki laashe yaha bikhri he bewajah
Aasma num khvahishoki udaan nahi
Bahar se zinda andar se bachi jaan nahi
Naadan insaan bhavishy se dare kare jo ye bataye rulaye
Fir bhi baat mane unki jese he vo superpower
Yaa fir hum hi sirf coward yaha vaha bhage din raat jaage
Fir mattha tek te he unke hi aage jaise he vo humare guru sapne mere dakshina
Jiteji mera jine kaa he haq chhina ye sina he cheera aur dil ko nikala
Meri rachna ke mandir pe lagaya taala
Bharosa Kala Sapno ko nikala
Meri rachna na ke mandir pe lagaya taala.
Kaun he vo?
Bhagvaan?
Hevaan?
Ya sirf Insaan?
Jisko ban na tha joker banaya doctor mari bahot thokar gir pada vo rokar
Tute unn sapno me dekha kya usne
Samaj banke khade the uske hi vo apne
Samaj society ye jhund ke gidad
Tabahi machae mere zahen ke bhitar
Sapne maut kala khot
Samanarthi ho gaye
Dil dimag kedi mera kadvi asliyat me
Zinda laash bane sapne sare mere so gae
Nadaan khwahisho ka hatyara samaj
Khamoshi har jagah he na karta koi baat
Gale se bahe khoon murda har ek aawaz
Hakikat na ban pae mujme dafan mere khwaab
Kafan dede muje aaj khatam karunga me baat
Mar bhi chahe jaunga savera me naya launga
Kalam ki nyaay se faisle sunaunga
Sapne sirf dekhunga na pure kar dikhaunga
Me pure kar dikhaunga
Sapne sirf dekhunga na pure kar dikhaunga
Ha me pure kar dikhaunga
Kalam ke nyaay se faisle sunaunga
I'll bring the justice
Sapne sirf dekhungananhaa me pure kar dikhaunga
My dreams are bleeding
My tears are red
A dreamer died
Is a living dead