Ruh jal rahi dil pigal chuka he
Khushiya ki vajah vo dard bhi to usika he
Lage mere pas vo par dikhti nahi
Ban chuki vo mera khuda he.
Ha manta hu glti ki mene hazar
Par yar teri khushiyo ke liye har bar mene ki har chize harkiz ye na
Bolu ki tu he bewafa
Par kyu tune kaha tha aavaz dena muje Jab tu nahi yaha.
Tu chhodke gai thi jaha aaj bhi hu vahi
Vajah teri sunu to galat tu bhi nahi
Har waqt me rou aavaz na niklti
Doob raha jaise me sham hu dhalti
Pyaar bhi na tha fir bhi pagal ho rha hu
Insaniyat hu kya dhire dhire kho rha hu
Shabd mere asu me mic pe bahau
Maa bhi puchhe tere bareme kya batau?
Jali roti bhi kha leta sab ko mana leta
Tu vapis na aayegi khud ko samjau ab kuch nahi
Bacha sab barbaad mere shabdo tak hi ab tera mera sath
Hum alag bahot, alag he halat
Vaabsta jo sach, fir hogi mulakat
Ro rahe the zaroor par saath to the
Bate na krte, par hatho me hath to the
Jit hui teri chal ha me manta hu har
Sun der ho chuki, vapis aajana yaar
Special feel tune itna karaya ab normal bhi feel na kar paa raha me
Tere bina bhi zindagi ye chalegi par nahi muje jeena
Pina kar diya shuru ant karib he
Yad rahegi teri sath mere ye mera nasib he Ajeeb he maana
Ki pyaar ye thana
Jodia banata jo uparwala abhi jaake vo panno se tuje he churana
Likhu dono ka nam aur kalam bindu tod duna
Ant tujko me khud se ha ant tak tak ke liye jod lunga
Jod lunga