Duniya ki na mujhko fikar
Chalta raha main jis dagar
Na manzilain, Na humsafar
Mera hai kya, Mujhse hai kya
Mujhko nahin koi gila
Main lapata! main bewaja
Esa koi rasta dikha ya de mujhy koi sada mujhko mujhi se tu mila
Main Mast Hun
Jismo kay khelon se kabhi
Chal in andheron se kabhi
Khud ko tu azaad kar
Insan se insan ka safar mushkil nahi hai toh nikal
Hasil nahin tujhe aj jo, Kal ki karay tu q fikar
Khud ko sambhal, Rastay badal, Asan hai phir ye safar
Khud ko khud hi se kar riha
Main Mast Hun