Tikata vo chappal us jalti zameen par
Aur suraj ki aankho me aankhein vo dale
Thaka hai shareer, aur phooli hai saansein
Par daude shiddat se vo khudko sambhale
Vo dur se nihare, hai surat pe khushi uski murat hai saamne
Tha gullak jo toda jarur ye manane do pal phir vo kaise ab tutne de vaade
Kasur na kisika sharaarti ye vakt hai
Par vo bhi hai ziddi vo scooter le bhaage
Sarse tapke paseene ko palko ke upar tikake
Aur vo...
Usne dekha jahan hai
Seekha hai kaanto ke jungal me chalna
Aese hi thodi na aati kala hai bacha kar ungliya ek gulab pakadna
Sharmaya vo suraj, hawa bhi yu sehmi hai
Sehmi si sasein, ghadi bhi to thehri hai
Manzil tak jaana tha, seene mai dhak dhak, paseene se lathpath
Phirbhi bhaaga vo us din par vo na bhaaga sadak par
Nazro ko cheer ke vo bhaage ho teer jaise koi vo bheed ke sailab mai
Badhta vo aage
Sarse tapkte passene ko palko ke upar tikake
Himmat kaha hai kisime jo usko koi peeche yu khiche, hai ziddi, vo kaise hi haare
Hai pakke iraade, manzil pr hai aankhein, soorat pe khushi uski murat hai saamne
Cheer ke sab dhaage yu bhaaga, na sakta dara koi uski zameer ko vo taane
Tikata vo chappal us jalti zameen par
Aur suraj ki aankho me aankhein vo dale
Thi ek shaam vo yu pyaari
Dono the sang aur vo luna sawari
Thi ek shaam vo yu pyaari
Dono the sang aur vo luna sawari
Baaton ki bediya, jamaane ki zanjeere tode vo chhune nayi ek bulandi
Maine dekha hai soch ke gulaamo mai udta yu azaad ek panchi