Hey critique swagat hai sit down
Teri harkato ko aaj karta strip down
Gussa thodi hu ye keval advice hai
Kaafi baar chup raha ab surgery ka time hai
Chup rehna mera banta ni naa
Mai hu na koi shaant sa sant aadmi
Unproductive bitching vaali guftugu ka sign hai
Kalakaro ki burai ahead of the line hai
Matlab artistic approach ke bina hai kyu alochna
Khudse na hua to doosro ko kyu hai rokna
Aisa karne vaalo ka future me hota scope na
Apni keemat ka keema banake kismat ko tum kosna
Kaafi clear aaj batana hai
Tabhi to isi flow me likha maine gaana hai
Kaan kholo thoda hosh me ho
Vichaar se hee pehle tum bhaunk rahe ho
Apnayi na tumne mehnat firbhi rob me ho
Critique na ho tum, tum bas talkative ho
Ghatiya zabaan aur value me off the list ho
Tum bhand ho, dumb ho off ho mand ho
Mann me tum king ho live tum cringe ho
Bante tum gyaani vakayi me bullshit ho
Bugatti ki burai karte khud to tum swift ho
Kher chodo baat bohot hui tumhari
Aur tumhari baato ki jo bin baat ugla karte ho
Ab salaam mera har ardent insaan ko
Jo defy karte har stereotype ko
Tumse hee to dikhta sooraj badhti chahat milti aas badhti pyas chadhti saans ghat ta darr hai har kadam inspiring tumhara
Na hai ye koi farzi baat shukriya
Yu kiya ke sach kahu to dil ki sunke lagta hai ki kuch kiya
Zindagi se darke saala kitna kuch miss kiya
Self doubt kicked out khudpe maine trust kiya
Kyuki marte waqt na kehna chahta lo maine hag diya
Aisa hai ki pyar karta pyar karne vaalo se
Endless respect karta kaam karne vaalo ki
Crappy baato ko nikal deta kaano se
Extreme aadatien utaar deta kaamo me
Aur maine honesty apnayi apne passion me
Na follow ki sharmaji advices old fashion me
Hardin jalayi maine agni apne andar hee
Shukraguzaar hu mai aaj apne jalne ka
Kabhi na rukne vaale apne khayalo ka
Aur khayalo ko ekatha karne vaali apni syahi ka
Apni syahi ka
Aur jo awam udna chahati usko udne dena chahiye
Dil to ek parinda usko khol dena chahiye
Sapne jo har din hain dekhe jee lene chahiye
Zindagi kal ho na ho feel honi chahiye
Rely hona kam karo cliche mat karo
Risk lena ab shuru karo sawal band karo
Daudoge haroge giroge fir tum seekhoge
Aur jo seekhne ki aadat tumne seekhli fir tum jeetoge
Seekh keval itni hai ki zindagi se jeene ka zikar karo
Tumme bhi ek artist hai uss artist ki madad karo
Khel ho ya kood ho kalam ho ya koi sport ho
Har junoon art hai uss art ki kadar karo