Paakhandi Duniyadari
Ye DUNIYADARI
Paakhandi Duniyadari
Ye DUNIYADARI
Meri Zindgi mein beeti kuch ghatnao se main ne sikha
Jise khoon ki siyaahi se kitaabo mein hai likha
Hai kehne ko duniya rangeen par rang hai sala feeka
Insaniyat main na insan Ye
Paison mein hai beeka
Paison mein hai beeka
Logo karte hai Baatein Yahan Dharam or karam ki
Kaisi ye khed Nirali is jhuthe jagg ki
Maya ka Hai jaal ankhon mein sab ki
Jhuthi ye duaniyadari sirf matlab ki
Sirf matlab ki
Paakhandi Duniyadari
Ye DUNIYADARI
Paakhandi Duniyadari
Ye DUNIYADARI
Kitno ko dekha main ne apna bana ke
Aya na raas mujhe koi bhi yahan pe
Gairon ke sath mujhe apno ne loota
Dekha jo bhi khaab sab padd gya jhutha
Han
Padd gya jhutha
Logo ki imaandari pe han mujhe shaq hai
Khuda jane kon sahi kon galat hai
Karte hai manmaani apne hisab se
Dikhta hai matlab inki har baat mein
Taash k patton ki tarah ek duje se khelte hai
Ameero ko salam gareebo ko dhakelte hai
Karte hai manmaani apne hisab se
Dikhta hai matlab inki har baat mein
Kalyugi duniya paakhandi yahan log
Dhokedhari ka yahan sab ko hi shaunk hai
Dhokedhari ka yahan sab ko hi shaunk hai
Paakhandi Duniyadari
Ye DUNIYADARI
Paakhandi Duniyadari
Ye DUNIYADARI
Paakhandi Duniyadari
Ye DUNIYADARI
Paakhandi Duniyadari
Ye DUNIYADARI