Mere Khudaya hai zindagi kya
Mere zehaen ka dyaar chota
Masroof insaan yu kashmakash mein
Safar ye Lamba Mazaar chota
Dozakh bani hai yeh sari duniya
Aur hai tere sab wazeefe fheke
Ab maikadon ki deevaar unchi
Hai mazjidon ka minaar chota
Na tha mukadhar mein unse milna
The kasme-wade vo sare jhoothe
Kyun na bhala ho jaunga rauswa
Douwlat ke aage hai pyaar chota
Mein tashnagi aye sanam kyun seh lu
Bhale lagade tu kuch bhi tohmat
Mein kyun karunga saki se parda
Hai wasl ko intezaar chota
Na huin mein 'Bezaan' na huin mein 'Ghalib'
Jo pucha 'Shakir' sawaal chota
Mein ek shayar huin mukhtasar
Sa piroya bas yeh ashaar chota